Breaking

Thursday 20 July 2017

What Is Aadhar Pay? Aadhar Pay Kya Hai? In Hindi

Aadhaar pay kya hai

Digital payment ke liye bahut sari apps available hai jaise PaytmPhonepeUPIBHEEM app etc. Lekin Aadhaar pay in sabhi apps se bilkul different hai. Aadhaar pay merchant (Dukandar) ko apna payment lene ke liye banaya gaya ek Aadhaar enabled payment system (AEPS) hai.
.
Is app ka use koi bhi merchant apne customer se payment (Money) lene ke liye kar sakta hai. Iske liye customer ko bas apne fingerprint ko scan karna hoga aur payment complete ho jayega.

Aaadhar Pay ke liye requirement

Is payment app ka use karne ke liye customer ko mobile, internet ki jaruat nahi hai. In sab chizo ke bina koi bhi customer apne paiso ka bhugtan kar sakta hai. Lekin iske liye kuch basic requirement hai jaise.
  1. Aadhaar card number
  2. Bank account number aadhaar se linked
Lagbhag sabhi ke paas apna aadhaar number hota hai aur sabhi ke aadhaar number bhi bank account se linked hote hai. Agar aapke aadhaar number bank account se link nahi hai to aap is system ka use nahi kar payenge.
Merchant (Dukandar) ke liye requirement –
  1. Smartphone
  2. Internet connection
  3. Aadhaar payment app
  4. Fingerprint scanner
  5. Bank account
Dukandar ke paas ye sabhi chize hona jaruri hai.

Aadhaar pay kaise kaam karta hai

Aadhaar payment app se is prakar payment liye jata hai –
  • Dukandar ko apne smartphone me aadhaar payment app install karna hoga.
  • App install karne ke baad app me apni details jaise bank account number enter karna honge.
  • Apne smartphone ko fingerprint scanner se connect karna hoga.
  • Ab payment lene ke liye customer ke 12 digit aadhaar number enter karna honge.
  • Ab aadhaar number se linked bank account show honge, unme se customer apni marji se bank select kar sakta hai.
  • Fir customer ko fingerprint scanner par apna fingerprint scan karna hoga.
  • Agar sab kuch sahi raha to transaction pura ho jayega aur customer ke bank account se paise (Money) katkar dukandar ke account me transfer ho jayenge.
First time merchant ko fingerprint scanner kharidna padega. Jiski price lagbhag 2000 Rupees hai.

Conclusion

Aadhaar payment app se customer ko bahut fayda hone wala hai jaise –
  1. Kisi bhi tarah ke atm card ya debit card ko paas me rakhne ki jarurat nahi padegi.
  2. Naa hi mobile ki jarurat padegi aur naa hi internet ki.
  3. Internet banking ki jarurat nahi hogi.
  4. Cash money nahi rakhna padegi.
  5. Kisi bhi pin number ko yaad nahi rakhna padega.
  6. Aapka fingerprint hi aapka PIN hoga.
  7. Koi extra charge nahi lagega.
Is payment system se sabhi ko fayda hoga lekin iski kuch limitation hai jaise –
  1. Low internet connection hone par payment me der ho sakti hai.
  2. Person to person is app se payment nahi kiya jaa sakta hai, kyunki iske liye fingerprint scanner ki jarurat padti hai.

No comments:

Post a Comment