Kabhi-Kabhi Hamse or hamare aaspas ke bahot se logo se apne smartphone ko leke ek bahot badi mistake ho jati hai jise phone puri tarah se damage ho jata hai or log samjhte hai ki ab is phone ko bachane ki koi sambhavna nahi hai.Phone ko leke hone wali mistakes jaise ki Phone ka tut jana ya gir kar crack ho jana,Phone ka blast hona ya kahi par galti se jal jana,Paani me gir jana etc.Vaise smartphone ko leke aisi mistakes ki list toh bahot lambi hai.Par aaj ham ek aisi hi mistake ka solution laye hai jisse aap jaan payege ki paani me gire huye phone ko bachaya kaise jaye !
Aksar jab-jab mobile paani me gir jata hai toh log kuch is tarah sochte hai.Ab mobile haath se gaya ab kuch nahi ho sakta,Smartphone toh puri tarah se damage ho chuka hai isliye ab thik nahi ho sakta,Ab naya phone hi lena hoga,Ab ham kuch nahi kar sakte etc.Right Na ? Okay toh ab aapko pareshaan hone ki jarurat nahi hai maine phone damage ho jane par kya kare uske liye bahot se research kiya hai jise mujhe pata chala hai ki Paani me gire hue phone ko vapas start kaise kiya jaye.
Mobile Paani Mein Gir Jane Par Kya Kare
TIP No.1 :
- Jab bhi aapka mobile pani me gir jaye toh zyada pareshan hone ki jarurat nahi hai.Sab se pehle mobile ko turant pani se bahar nikale Fir ek acha cotton ka kapda le or mobile achi tarah se saaf kar le.
- Ab apne Mobile ki battery,Simcard,SD card etc.sab nikal le Aur Mobile se pani saaf karne ke liye kagaz/paper ke tukde ya cotton ka hi istemal kare.
- Mobile pe se paani ko andar-bahar se puri tarah se hata de.Is tarah mobile pe lage sare paani ko hatane ki koshish kare.
TIP No.2 :
- Mobile puri tarah se sukh jane par usse ek bowl (katori) me rice (chawal) ke saath bhar kar rakh dijiye.Rice ko mobile ki charor achi tarh se daba kar bhariye.
- Ab bowl ko suraj ki roshi me rakh dijiye.Bowl ko 2-3 din tak aise hi sunlight me rakhna hai.Agar aap bowl ko sunlight me rakhna nahi chahte hai toh bowl ko kisi aisi garam jagah pe rakhe jaha se usko garmi mil sake.
- Aap mobile ko jitni garmi denge utni hi mobile ki vapas chalu hone ki sambhavna jyada hai.
TIP No.3 :
- Mobile paani me gir jane par agar aapne use achi tarah se saaf kar liya hai toh fir apne ghar ke bulb ki roshni se mobile ko garam kare.
- Mobile ko garam kar ke fir se chalu karne ke liye ye bhi ek best way hai par yaad rakhe ki mobile ko koi aisi chiz se na garam kare jo had se zyada garmi deti ho varna aapka phone puri tarah se bigad sakta hai.
- Jab mobile ko had se zyada garmi milti hai tab mobile ke internal parts ko damage hone ke chances badh jate hai.
- Isliye jab aap bulb light se garam kare tab dur se hi kare or bulb 60 watt se 100 watt ke bich me hona chahiye.
No comments:
Post a Comment