Breaking

Thursday 20 July 2017

Android Phone Lene Se Pehle Jaan Le Ye Bate In Hindi

Dosto aap jab bhi naya phone lene jaye or khas kar ke android phone lene jaye to kuch esi bate hoti hai jise dyan rakhna jaruri hota hai. Duniya jab android phone ke pichhe padi hai tab jise chaho vo jab bhi phone lene jata hai to kahta hai muje android phone chahiye ji ha dosto abhi bazaar main kai android phone nikal gaye hai jo aap ko kam bujet main ache ache phone denge lekin android phone lene se pahle aap only ye na dekhe li ye android phone hai to main ise le lu par jab bhi android phone lene jaye to kuch esi bate hai jo aap ko hamesa dhyan rakhi hogi… kai ese phone hote hai jo dikhne main bahut hi ache hote hai. Jaise ki usake menu, camera, front camera, or badi skin dekh ke ham phone le lete hai par jab hame ye pata chalta hai ki yaar phone main ye to nahi hai ye suvidha nahi hai esemain mai aap ko ye jankari dene wala hu ki android phone lene se pahle kis kis bato ko dyan main rakhna chahiye
Aksar android phone pasand karne wale isame koi vikalp main ek chunane ki aazadi denewala mante hai. Aagar aap jante hai ki aapke phone main aap ko kya kya chahiye ya isake fechure aap ke liye kitane kaam ke hai tab to chunne ki ye aazadi vastav main vardan hai lekin aagar aap nahi jante ki aapke fechur aap ke liye kis tarah upayogi hogne to aap ki jarurat ka phone main kis prakar ki khubiya honi chahiye to ese main yahi chunav ki aazadi aap ke liye abhisap ban jati hai. Window phone ki tarah hi android main bhi kai prakar ke apps hai jo kuch activity ko jyada bahetar dene or jyada fontion den eke dave bhi karte hai. Aagar bina kuch soche aap ne sabhi apps download karne ki koshis ki to ye aap ka pura internal space le lega esemain aap ka phone ya to heng hone lagta hai. Ya fir bigad  jata hai.Duniya main sabse jyada popular android operating system hai. Lekin ye itana bhi khas nahi hai jise IOS, Window phone ya blackbary phone ke badale liye ja sake.  Lekin Android phone  IOS, Window phone ke badle market dhoom maja raha hai. Or jyadatar madhyam varg ke log kam budget main achha phone lene ke liye android phone hi lete hai. Aab ham ye jante hai ki android phone lene se pahle kon kon si bato ko dhyan main rakhe.

Android phone ka Storage dekh le.

Sabse pahle Android phone lene se pahle phone ki intarnel storage ke bare main jan le. Jyadatar android phone ki internal storage bahut kam hoti hai jaise ki 4 GB  se 16 GB tak ki hoti hai. Esemai micro SD card ko support karta hai. Itana hi nahi isaka 30%-40% internal storage aap use nahi kar sakte kyoki ye phone system main use ho jata hai. Isaka matlab ye hai ki aagar aap ke pas 4 GB Intarnal Storage hai to aap muskil se 2.5 se 2.8 GB tak use kar sakte hai. Ismain aagar aap kuch badi games ya fir badi application install kar ke to aap ki storage full ho jati hai. Fir aap aage games or application download nahi kar sakte isake liye aap jab bhi android phone le to sabse pahle usake internal storage ke bare main jaan le or using space ke bare main bhi jan le uske bad hi android phone ko kharide.

Music ke bare mian jan le ye bate.

Ek vakt tha jab audio quality alag alag phone ke anusar alag alag hoti thi. Aaj ham us jagah hai jaha audio quality or music playback jaise facture bahut jyada use hote hai. Aagar aap music lover hai or apne phone ka jyadatar time music sunane main lagate hai to aap phone kharidne se pahle isake audio ko vishesta ke bare main resarch kar le varna bad main aapko pachhtana padega. Kyu ki android phone chunate samay isaka dhyan rakhna jaruri hota hai. Alag alag Android ke hardware bhi alag alag hai or isake sath unaki kshamta bhi alag alag hoti hai.
Agar aap ke liye bhi aap ke android phone main audio quality jyada important hai to aap phone kharid ne se pahle showroom ya fir internet ke jariye usaki janch jarur kar le aap ke aas-paas kisi ke pas pahle se aagar wo phone hai to use phone ke audio quality ke bare main dekh le or samaj le aagar ye bhi na karna chahe to internet se aap usake feature dekh sakte hai.

Android phone ki RAM ko dekh le

Agar aap Naya phone kharid ne ja rahe hai or aap pahli bar phone kharid rahe hai to aap ko ye jankari bahut hi kam main aayegi kyu ki kai logo ko RAM ke bare main jankari nahi hoti is liye vo kabhi kabhi esa phone kharid lete hai ki jisase bahut pachhtana padta hai. Aab ham RAM ke bare main jante hai phone main RAM se phone ki speed par aasar padta hai. Phone main kam RAM wala phone ho to jyadatar heng honge ki sikayat hoti rahti hai. 2 GB RAM hoti hai to smartphone main chal jata hai kyu ki 2 GB RAM wala phone ho to jyadatar heng nahi hota or usase kam RAM ho to usame jyadatar heng hone ki sambhavna rahti hai. Esemain hame ham jab pahli bar Android phone lene ja rahe hai to 2GB a usase jyada ki RAM wala phone choise kare jisase aap ke phone ki speed jyada ho or aap ka  heng na hoye.

No comments:

Post a Comment